GHULAM ALI (1940-) is a famous Pakistani ghazal singer.
Ghulam Ali was born in the village of Kaleke, Sialkot, Pakistan in 1940 (before partition). He belonged to a musical family, his father was a vocalist and sarangi player who gave him early training. At the age of 15, Ghulam Ali became a disciple of the legendary classical singer Bade Ghulam Ali Khan, who was a master of the Patiala Gharana to which Ghulam Ali also belongs. His training was provided mainly by Bade Ghulam Ali Khan<#8217;s three brothers: Barqat Ali Khan, Mubarak Ali Khan, and Amanat Ali Khan, in Lahore. All these great teachers of classical music taught him the finer details of classical music and his solid foundation of classical music included him studying Thumri and learning to sing raagas. He started singing for Radio Lahore in 1960. Ghulam Ali<#8217;s father named him <#8220;Ghulam Ali<#8221; after Bade Ghulam Ali.
Along with singing ghazals, Ghulam Ali composes music for his ghazals too. His compositions are raaga-based and sometimes include a scientific mixture of raagas. A raaga is a scientific, precise, subtle and aesthetic melodic form with its own peculiar ascending and descending movement consisting of either a full seven note octave, or a series of six or five notes (or a combination of any of these) in a rising or falling structure called the Arohana and Avarohana. He is known for blending gharana-gaayaki into ghazal and this gives his singing the capability to touch hearts. He beautifully sings Punjabi geets too. Most of his Punjabi geets have been extremely popular. Though from Pakistan, Ghulam Ali remains as popular in India as in Pakistan. On being questioned about Pakistani pop groups, Ghulam Ali replied, <#8220;frankly I am really bewildered at their style of singing. How can you sing a song by running and jumping around the stage? The stage is NOT meant for performing acrobatics.
1. MAIN NAZAR SE PEE RAHA HOON YE SAMAA BADAL NA JAAYE
MAIN NAZAR SE PEE RAHA HOON YE SAMAA BADAL NA JAAYE
NA JHUKAAO TUM NIGAAHEIN KAHEE RAAT DHAL NA JAAYE
MERE ASHK BHI HAIN IS MEIN YE SHARAAB UBAL NA JAAYE
MERA JAAM CHHOONE WAALE TERA HAATH JAL NA JAAYE
ABHI RAAT KUCHH HAI BAAQI NA UTHA NAQAAB SAAQI
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
TERA RIND GIRTE GIRTE KAHEEN PHIR SAMBHAL NA JAAYE
MEREE ZINDAGEE KE MAALIK MERE DIL PE HAATH RAKHNA
TERE AANE KI KHUSHEE MEIN MERA DAM NIKAL NA JAAYE
MUJHE PHOONKNAY SE PAHLE MERA DIL NIKAAL LENA
YE KISI KI HAI AMAANAT KAHEE SAATH JAL NA JAAYE
VIDEO
2. YE BATEIN JHUTI BATAIN HAIN
Ye batein jhuti batein hain(2)
ye logon ne phailayi hain
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
tum inshaji ka naam na lo(2)
Kya inshaji saudai hain
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
ye batein, ye batein
Hai lakhon rog zamane mein
kyon ishq hai ruswa bechara
hain aur bhi wajhe wahshat ki
insaan ko rakhti dukhiyara
haan bekal bekal rehta hai
wo preet mein jis ne dil hara
par shaam se lekar subho talak
yoon kaun phire hai awaara
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
ye batein, ye batein
Gar ishq kiya hai tab kya hai
kyon shaad nahin abaad nahin
jo jaam liye bin chal na sake
ye aisi bhi uftad nahin
ye baat to tum bhi maano ge
wo kais nahin farhaad nahin
kya hijr ka daru mushkil hai
kya fasl muste yaad nahin
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
Ye batein, ye batein
jo hum se kaho hum karte hain
kya insha ko samjhana hai
us ladki se bhi kehlenge
go ab kuchh aur zamana hai
ya chhodein ya takmeel karein
ye ishq hai ya afsana hai
ye kaisa gorakh dhanda hai
ye kaisa tanabana hai
Ye batein jhuti batein hain(2)
ye logon ne phailayi hain
tum inshaji ka naam na lo(2)
Kya inshaji saudai hain
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
ye batein, ye batein
ye batein, ye batein
ye batein
VIDEO
3. PATTA PATTA BOOTA BOOTA HAAL HAMARA JAANE HAI
Patta Patta Boota Boota Haal Hamara jaane hai
Patta Patta Boota Boota Haal Hamara jaane hai
jaane na jaane Gul hi na jaane baagh to sara jaane hai
Patta patta jaane hai
Charagari beemari-e-dil ki rasme shahre husn nahin
Charagari beemari-e-dil ki rasme shahre husn nahin
rasme shahre husn nahin
warna dilbar nadaan bhi is gard ka chaara jaane hai
jaane na jaane Gul hi na jaane baagh to sara jaane hai
Patta patta jaane hai
Mehro wafao lutfo inayat ek se wakhif in mein nahin
Mehro wafao lutfo inayat ek se wakhif in mein nahin
ek se wakhif in mein nahin
aur to sub kuch tanzo kinaya ranzo ishara jaane hai
jaane na jaane Gul hi na jaane baagh to sara jaane hai
Patta patta jaane hai
Kya kya fitne sar par uske laata hai mashooq apna
Kya kya fitne sar par uske laata hai mashooq apna
laata hai mashooq apna
jis be dil betaab-o-tawaan ko ishq ka mara jaane hai
jaane na jaane Gul hi na jaane baagh to sara jaane hai
Patta patta jaane hai
Patta Patta Boota Boota Haal Hamara jaane hai
Patta patta jaane hai
VIDEO
4. JIN KE HONTON PE HANSEE PAAON MEIN CHHALAY HONGE
JIN KE HONTON PE HANSEE PAAON MEIN CHHALAY HONGE
HAA WOHI LOG TERE CHAHNAY WAALE HONGE
MAI BARASTEE HAI FAZAAON PE NASHAA TAAREE HAI
MERE SAAQEE NE KAHEEN JAAM UCHHALAY HONGE
SHAMA LE AAYE HAI HUM JALWA-GAH-E-JAANA SE
AB DO-AALAM MEIN UJAALAY HI UJAALAY HONGE
HUM BADAY NAAZ SE AAYE THAY TEREE MEHFIL MEIN
KYA KHABAR THI LAB-E-IZHAAR PE TAALAY HONGE
VIDEO
VIDEO
5. KABHI AA LAB PAY MACHAL GAYE
kabhi aah lab pay machal gai
kabhi ashq ankhan see dhel gaya
yeh tumhara gham ka chirag hain
kabhi bujh gaya kabhi jaal gaya
mein khayal-o-khab ki mehfilain
na ba-qaderah shawaq saja saka
teri ek nazar ka sath hi
mera sab iraday badal gaya
jo fana hua gham-e ishq mein
unhain zindagi ka na gham howa
jo na apni aag mein jal saka
woh parai aag mein jal gaya
tha unhain bhi meri tarha janoo
to phir un mein aur mujeh mein yeh farak kyon
mein garift-e gham say na bach saka
woh hadood-e gham say nikal gaye
VIDEO
6. CHUPKE CHUPKE RAAT DIN AANSU BAHANAA YAAD HAI
Apani Aawaaz Ki Larzish Pe To Qaabu Pa Lo
pyaar Ke Bol To Honthon Se Nikal Jaate Hain
apane Tewar To Sambhaalo Ke Koyi Ye Na Kahe
dil Badalate Hain To Chehare Bhi Badal Jaate Hain
chupake Chupake Raat Din Aansu Bahaana Yaad Hai
ab Main Samajha Tere Rukasaar Pe Til Ka Matalab
daulat-e-husn Pe Darabaan Bitha Rakha Hai
gar Siyaah-bakt Hi Hona Tha Nasibon Mein Mere
zulf Hota Tere Rukasaar Pe Ya Til Hota
chupake Chupake Raat Din Aansu Bahaana Yaad Hai
hamako Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai
tujhase Milate Hi Wo Kuchh Bebaak Ho Jaana Mera
aur Tera Daanton Mein Wo Ungali Dabaana Yaad Hai
chori Chori Hamase Tum Aa Kar Mile The Jis Jagah
muddatein Guzarin Par Ab Tak Wo Thikaana Yaad Hai
dopahar Ki Dhuup Mein Mere Bulaane Ke Liye
wo Tera Kothe Pe Nange Paanv Aana Yaad Hai
khainch Lena Wo Mera Parde Ka Kona Daf_atan
aur Dupatte Se Tera Wo Munh Chhupaana Yaad Hai
tujhako Jab Tanha Kabhi Paana To Az-raah-e-lihaaz
haal-e-dil Baaton Hi Baaton Mein Jataana Yaad Hai
aa Gaya Gar Wasl Ki Shab Bhi Kahin Zikr-e-firaaq
wo Tera Ro Ro Ke Bhi Mujhako Rulaana Yaad Hai
waan Hazaaraan Iztiraab, Yaan Sad-hazaaraan Ishtiyaak
tujhako Wo Pahale-pahal Dil Ka Lagaana Yaad Hai
jaan Kar Hona Tujhe Wo Kasad-e-paa-bosi Mera
aur Tera Thukara Ke Sar Wo Muskuraana Yaad Hai
jab Siva Mere Tumhaara Koyi Diwaana Na Tha
sach Kaho Kuchh Tumako Ab Bhi Wo Zamaana Yaad Hai
gair Ki Nazaron Se Bach Kar Sabaki Marzi Ke Kilaaf
wo Tera Chori Chhipe Raaton Ko Aana Yaad Hai
dekhana Mujhako Jo Baragashta Sau Naaz Se
jab Mana Lena To Phir Khud Ruuth Jaana Yaad Hai
shauq Mein Mehandi Ke Wo Be-dast-o-pa Hona Tera
aur Mera Wo Chhedana Wo Gudagudaana Yaad Hai
VIDEO
7. RET PAR LIKH KE MERA NAAM MITAAYA NA KARO
ret par likh ke mera naam mitaaya na karo
aankh sach bolati hain pyaar chhupaaya na karo
log har baat ka afasaana bana lete hain
sabako haalaat ki ruudaad sunaaya na karo
ye zuruuri nahin har shaks masiha hi ho
pyaar ke zakm amaanat hain dikhaaya na karo
shahar-e-ehasaas mein patharaav bahut hain ' mohasin'
dil ko shishe ke jharokhon mein sajaaya na karo
VIDEO
8. RAASTE YAAD NAHIN RAH-NUMA YAAD NAHEIN
raaste yaad nahee raah-numa yaad nahee
kuchh mujhe ab teree galiyon ke siwa yaad nahee
de sakay tu mere jazbaat ko taana jis ka
mujh ko aisee to koyee apnee khata yaad nahee
door rah kar bhi teree yaad ko pooja main ne
yeh na kahna mujhe aadaab-e-wafa yaad nahee
yaad kya aaye woh beete huway saawan mujh ko
main woh panchhi hoon jise apnee sadaa yaad nahee
VIDEO
9. DILON KO TODNE WAALON
DILON KO TODNE WAALO TUMHE KISI SE KYA
MILO TO AANKH CHURAALO TUMHE KISI SE KYA
MUJHE KHUD APNI NAZAR MEIN BANA KE BEGAANA
JAHAN KO APNA BANALO TUMHE KISI SE KYA
NAZAR BACHAAKE GUZAR JAAO MEREE TURBAT SE
KISI PE KHAAK NA DAALO TUMHE KISI SE KYA
HAMAREE LAGHZISH-E-PAA KA KHAYAAL KYON HAI TUMHE
TUM APNI CHAAL SAMBHALO TUMHE KISI SE KYA
VIDEO
10. ZAKHM-E-TANHAYI MEIN KUSHBOO
zakm-e-tanhaayi mein kushbuu-e-hina kisaki thi
saaya diwaar pe mera tha sada kisaki thi
aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
haath to mainne uthaaye the duwa kisaki thi
meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi
chhod di kisake liye tuune ' muzaffar' duniya
justazu si tujhe har waqt bata kisaki thi
usaki raftaar mein lipati rahin meri aankhein
usane mud kar bhi na dekha ki wafa kisaki thi
waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aaya hai
main andhera jise samajha wo qaba kisaki thi
aag se dosti usaki thi jala ghar mera
di gayi kisako saza aur kata kisaki thi
mainne binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kisake bas mein thi zamin aab-o-hawa kisaki thi
VIDEO
11. DILWAALON KYA DEKH RAHE HO IN RAAHON MEIN
dilawaalon kya dekh rahe ho in raahon mein, in raahon mein
hadd-e-nazar tak ye viraani saath chalegi, saath chalegi
sannaate phir shama ke aansu chaat rahe hain, chaat rahe hain
ye basti jo ujad gayi hai ab na basegi, ab na basegi
ghar ke andar saare jangal ka sannaata, sannaata
shaam huyi to is jangal mein hawa chalegi, hawa chalegi
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
jinake haathon dil ki ye tauhin huyi hai, tauhin huyi hai
unake liye bhi ye duniya aisi na rahegi, aisi na rahegi
' razi' miyaan tum shaam se kaise chup baithe ho, chup baithe ho
kuchh to bolo aisi chup se baat badhegi, baat badhegi
VIDEO