Thursday, June 6, 2013

GHAZALS OF ASHA BHOSLE; UMRAO JAAN






MOVIE:    UMRAO JAAN   [1981]

  CAST:      AMITAB BACHHAN, REKHA, FAROOQ SHEIKH, NASRUDEEN SHAH, RAJ BABBAAR, DINA PATHAK, UNI FANWA.....

LYRICS:      SHAHRYAR
MUSIC:       KHAYYAAM


SINGER   ASHA BHOSLE

1.    DIL CHEEZE KYA HAI


 Dil Chiiz Kyaa Hai, Aap Merii Jaan Lijiye
Bas Ek Baar Meraa Kahaa, Maan Liijiye

Is A.Njuman Me.N Aapako Aanaa Hai Baar Baar
Diivaar-O-Dar Ko Gaur Se Pahachaan Liijiye


Maanaa Ke DostoN Ko Nahin Dostii Kaa Naaz
Lekin Ye Kyaa Ke Gair Kaa Ahasaan Liijiye

Kahiye To Aasamaan Ko Zamiin Par Utaar Laaeye
Mushkil NahiiN Hai Kuchh Bhii Agar Thaan Liijiye


FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=3oFm4MYbb9o

[http://www.youtube.com/watch?v=HKZBD_VC_5o]






2.      In Aankhon Ki Masti




n Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaaron Hain
In Aankhon Se Vaabastaa Afasaane Hazaaron Hain
In Aankhon
Ik Tum Hii Nahin Tanhaa, Ulafat Mein Meri Rusavaa
Is Shahar Mein Tum Jaise Diivaane Hazaaron Hain
In Aankhonn
Ik Sirf Ham Hii May Ko Aankhon Se Pilaate Hain
Kahane Ko To Duniyaa Me.N Mayakhaane Hazaaron Hain
In Ankhon
Is Shamm-E-Farozaan Ko Aandhii Se Daraate Ho
Is Shamm-E-Farozaan Ke Paravaane Hazaaron Hain
In Aankhon


FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=ADKVUwj5uKI


3.      Zindagi Jab Bhi TERII BAZM..


  SINGER:   TALAT AZIZ
 

Zindagi Jab Bhii Terii Bazm Men Laatii Hai Hamen
Ye Zamiin Chaand Se Behatar Nazar Aatii Hai Hamen
Surkh Phulon Se Mahak Uthati Hain Dil Ki Rahen
Din Dhale Yun Teri Avaz Bulati Hai Hamen
Zindagi
Yad Teri Kabhii Dastak Kabhii Saragoshi Se
Raat Ke Pichhale Pahar Roz Jagaati Hai Hamen
Zindagi
Har Mulaqat Ka Anjaam Judai Kyun Hai
Ab To Har Vaqt Yahi Baat Satati Hai Hamen
Zindagi

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=x-oJUnEx7xQ


  4.       Yeh Kya Jagah Hai Doston

Yeh Kyaa Jagah Hai Dosto, Yeh Kaun Saa Dayaar Hai
Had-E-Nigah Tak Jaha N Gubar Hi Gubar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston
Yeh Kis Mukaam Par Hayaat, Mujhako Leke Aa Gai
Na Bas Khushi Pe Kaha N, Na Gam Pe Ikhtiyaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston
Tamam Umr Ka Hisab Ma Ngati Hai Zindagi
Ma Ngati Hai Zindagi
Yeh Mera Dil Kahe To Kya, Yeh Khud Se Sharmasar Hai
Yeh Khud Se Sharmasar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston
Bula Raha Kya Koi Chilamano N Ke Us Taraf
Chilamano N Ke Us Taraf
Mere Liye Bhi Kya Koi Udas Beqarar Hai
Udaas Beqarar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston

Na Jisaki Shakal Hai Koi, Na Jisaka Naam Hai Koi
Ik Aisi Shai Ka Kyo N Hame N Azal Se Intazaar Hai
Yeh Kya Jagah Hai Doston

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=fgCOzk_G93I


5.   DARD JAB TERI ATA HAI TO GOLA KISEESE KAREN...                

dard jab teri ata hai to gila kisase karein
hijr jab tuune diya ho to mila kisase karein
aks bikhara hai tera tuut ke aayine ke saath
ho gayi zakm nazar aks chuna kisase karein
main safar mein huun mere saath judaayi teri
hamasafar gam hain to phir kisako juda kisase karein
khil uthe gul ya khule dast-e-hinaayi tere
har taraf tuu hai to phir tera pata kisase karein
tere lab teri nigaahein tere aariz teri zulf
itane zinda hain to is dil ko riha kisase karein

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW


http://www.youtube.com/watch?v=QwpIii87qTE


6.    : Dil dhadakne ka sabab yaad aya

Dil dhadakne ka sabab yaad aya
dil dhadakne ka sabab yaad aya
dil dhadakne ka sabab yaad aya
woh teri yaad thi, ab yaad aaya

dil dhadakne ka sabab yaad aya

aaj mushkil tha sambhalna ae dost
aaj mushkil tha sambhalna ae dost
tu musibat mai ajab yaad aaya
woh tiri yaad thi, ab yaad aaya
dil dhadhknay ka sabab yaad aaya

din guzara tha badhi mushkil se
din guzara tha badhi mushkil se
phir tera wadah e sham yaad aaya
woh teri yaad thi ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

haal e dil hum bhi sunate lekin
haal e dil hum bhi sunate lekin
jub woh rukhsat huwa tab yaad aaya
woh teri yaad thi ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

beht ker saya e gul may nasir
beht ker saya e gul may nasir
hum bohut ro aye woh jub yaad yaad aaya
woh teri yaad thi ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

woh teri yaad thi, ab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aya

FOR VIDEO CLICK/ COPY PASTE THE LINK BELOW

http://www.youtube.com/watch?v=si9mVa-WcUc

7.   Salona Sa Sajan Hai Aur Main Hoon

salona sa sajan hai aur main hoon
jiya mein ik agan hai aur main hoon
salona sa...........

churaaye chain raato ko jagaaye - 2
piya ka ye chalan hai aur me hoon
salona sa...........

piya ke saamane ghunghat uthha de
badi chanchal pawan hai aur main hoon
salona sa...........

rachegi jab mere haatho mein mehendi
ussi din ki lagan hai aur main hoon
salona sa...........

kabhi raha na kisi se tere fasaaona ko
va jaane koyi se khabar ho gayi zamaane ko

suna hai ghar ki mehfil me tum na jaaoge
kaho toh aaj sajaa lo gharibkhaane ko
kabhi kaha na.............

duwaa bahaar ki maangi toh itne phul khile
kahi jaage na rahi mere aashiyaane ko
kabhi kaha na.............

dabaake kabra mein sab chal diye duwaa na salaam
jaraasi der mein kya ho gaya jamaane ko
na jaane kasi.........



http://www.raaga.com/player4/?id=14027&mode=100&rand=0.34924087836407125



  8.   Pehle Bhi Jite The Magar

pehle bhi jite the magar jabse mili hai zindagi
sidhi nahi hai dur tak ulajhi huyi hai zindagi

achchhi bhali thi dur se jab paas aai kho gayi
jismein na aaye kuch nazar wo roshani hai zindagi

har raasta anjaan sa, har phalsafa naadaan sa
sadiyon puraani hai magar har din nai hai zindagi

mitti hawa ban kar udi ghoomi phiri waapas mudi
kabaro pe qatabo ki tarah likkhi huyi hai zindagi



http://www.raaga.com/player4/?id=14027&mode=100&rand=0.9072950521949679


9..   Raat Jo Tune Deep Bujhaye Mere


raat jo tuune dip bujhaaye mere the
ashq jo taariki ne chhupaaye mere the

kaif-e-bahaaraan mahar-e-nigaaraan lutf-e-junuun
mausam-e-gul ke mahake saaye mere the

mere the wo kaab jo tuune chhin liye
git jo honthon par murajhaaye mere the

aanchal aanchal gesuu gesuu chaman chaman
saari kushbuu meri saaye mere the

saahil saahil laharein jisako dhuundhati hain
maazi ke wo mahake saaye mere the



http://www.youtube.com/watch?v=oL1L5xTGnQU



10.   PHIR SAWAM RUT KI PAVAN CHALI TUM

phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye

phir kuunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye

pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye

phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye

din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye



http://www.youtube.com/watch?v=uR2Nwz6Qq-8



11.    Gaye Dinon Ka Suraag Lekar Kidhar SE



gaye dinon ka suraag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
ajib maanuus ajanabi tha mujhe to hairaan kar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitaara wo ham-nafas ham-sukan hamaara
sada rahe usaka naam pyaara suna hai kal raat mar gaya wo
wo raat ka be-nava musaafir wo tera shaayir wo tera ' naasir'
teri gali tak to hamane dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo
bas ek moti si chhab dikhaakar bas ek mithi si dhun sunaakar
sitaaraa-e-shaam ban ke aaya ba-rang-e-kaab-e-sahar gaya wo
kushi ki raat ho ya gam ka mausam nazar use dhuundhati hai haradam
wo buu-e-gul tha ki nagmaa-e-jaan mere to dil mein utar gaya wo
na ab wo yaadon ka chadhata dariya na fursaton ki hai os barakha
yuunhi zara si kasak hai dil mein jo zakm gahara tha bhar gaya wo
kuchh ab sambhalane lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-aasamaan bhi
jo raat bhaari thi tal gayi hai jo din kada tha guzar gaya wo
bas ek manzil hai bul-hawas ki hazaar raste hain ahal-e-dil ke
yahi to hai farq mujhamein usamein guzar gaya main thahar gaya wo
shikastaa-pa raah mein khada huun gaye dinon ko bhuu raha huun
jo qaafila mera hamasafar tha misaal-e-gard-e-safar gaya wo
mera to kuun ho gaya hai paani sitamagaron ki palak na bhigi
jo naala uttha tha raat dil se na jaane kyuun be-asar gaya wo
wo mayakade ko jagaane waala wo raat ki nind udaane waala
ye aaj kya usake ji mein aayi ki shaam hote hi ghar gaya wo
wo jisake shaane pe haath rakh kar safar kiya tuune manzilon ka


http://www.youtube.com/watch?v=LkA0XUtYkIA


12.


MOVIE:   Muqaddar Ka Sikandar:

Singer : Lata Mangeshkar

Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo
Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo
Tum humse pyaar karne ki zara si bhool kar lo
mera dil bechain hai
mera dil bechain hai humsafar ke liye
mera dil bechain hai humsafar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan..........

Main sunaoon tumhe baat ik raat ki(ho ho ho ho ho)
Main sunaoon tumhe baat ik raat ki
Chaand bhi apni puri jawani mein tha
Dil mein tufaan tha
Ek Armaan tha
Dil ka tufaan apni rawani mein tha
Ek badal...........
Ek badal udhar se chala jhoom ke
Dekhte dekhte chaand pe chha gaya
Chaand bhi kho gaya uske aaghosh mein
Uff, yeh kya ho gaya josh hi josh mein
Mera dil tadpa
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan..........


Iske aage ki ab dastaan mujhse sun(ho ho ho ho ho)
Iske aage ki ab dastaan mujhse sun
Sun ke teri nazar dabdaba jayagi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi,
Mera dawa hai hoton pe aa jayegi
Tu masiha………..
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai(slow)
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai
Hum tera naam sun kar chale aaye hain
Ab dua de hamein ya tu de de zeher
Teri mehfil mein ye dil jale aaye hain
Ek ehsaan kar……..
Ehsaan kar(slow)
Ek ehsaan kar, apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar
De Duaein
De Duaein use umra bhar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan…..



http://www.youtube.com/watch?v=cnTZzs6kdKs