Saturday, March 17, 2012

QAWWALIS AND GHAZALS OF HINDI MOVIES [ 14]

1.

MOVIE: PYAR KE SIDE EFFECTS [ 2006] SAKET CHOUDHARY

CAST: RAHUL BOSE, MALLIKA SHERAWAT, SUCHITHRA PILLAI, SPOHIE SHOUDHARY,
RANVIR SHOREY, SAPNA BHANANI, AAI BASHIR, SHARAT SAXENA...

LYRICDS: MAYUR PURI
MUSIC: PRITAM CHAKROBORTHY

SINGER: RAKSEH PANDIT

Dreams of love forever young
fire within souls inside

– MALE –
dil tod ke na jaa muh mod ke na jaa – 4
ishq hove na hove na bereham ki wajah
dil tod ke na jaa muh mod ke na jaa – 2

toota toota dil hai hai rutha rutha rab
hamne jana ab hai kya hai pyar ka sabab
basa kiska jahaan huaan shaad koi kab
kitno ke lage dil roye sab ke sab
yahi hota hai aaya pyar ka hai ??? – 2
kab kab yahi hoga toh ???
aa~
dil tod ke na jaa muh mod ke na jaa – 2
passion posession jealousy obsession
side effects of love
the defects of love

sang sang chalne ki kaisi todi hai kasam
phir baaten manzilon ki aji chhodiye sanam
ek baar nahi dekha pichhe mud aapne
ussi mod pe khade hai mere tarah kadam
naya nashtar koi laaye hameen pe aazmaaye
hameen pe aazmaaye naya nashtar jo laaye
diye pehle zakham wohi kaafi nahi kya
dil tod ke na jaa muh mod ke na jaa – 2
ishq hove na hove na bereham ki wajah
dil tod ke na jaa na ja na ja na ja
muh mod ke na jaa na ja na ja na ja
dil tod ke na jaa muh mod ke na jaa – 4


VIDEO



2.

FILM: JODHAA AKBAR [2008] ASHITOSH GAWARIKAR

CAST: HRITHIK ROSHAN,AISHWARYA ROY,SONU SOOD,RAZA MURAD,
POONAM SINHA, ILA ARUN, INDRAJIT SARKAR, YURI SURI,MANAVA NAIK...


LYRICS: JAVED AKTHAR
MUSIC: A.R.REHMAN



SINGER: A. R. REHMAN

khwaja ji... khwaja
khwajaji ee ee ee ... khwaja ji, khwaja ji.......
ya gharib nawaj - 4 (ya moinuddin)
ya gharib nawaj, ya moinuddin, (ya khwaja ji ee ee ...- 5)

(khwaja mere khwaja, dil mein sama ja
shaaho ka shaah too, ali ka dulaara) - (2)
khwaja mere khwaja, dil mein sama ja - (2)
bekaso ki takdir tune hai sawari - (2)
khwaja mere khwaja

tere darbar mein khwaja noor toh hai dekha aa aa aa.....
tere darbar mein khwaja sar jhuka te hai auliya
too hai unaalwali khwaja, rutba hai pyara
chaahane se tujhko khwaja ji mustafa ko paya
khwaja mere khwaja (khwaja, khwaja), dil mein sama ja (aa ja khwaja)
shaaho ka shaah too, ali ka dulaara

mere peer ka sadka -2
hai mere peer ka sadka, tera daaman hai thama
khawajaji ee ee ee.......
tali har bala hamaari, chhaaya hai khumar tera
jitna bhi rashk kare beshak, toh kam hai ai mere khwaja
tere kadmo ko mere rehnuma nahi chhodna gawaara
(khwaja mere khwaja (khwaja, khwaja), dil mein sama ja (sama ja -2)
shaaho ka shaah too, ali ka dulaara) - (2)
(khwaja mere khwaja -2 dil mein sama ja) - (2)
(bekaso ki takdir, (tune hai sawari -2)) - (2)
khwaja mere khwaja, dil mein sama ja (khwaja ji)
shaaho ka shaah too, ali ka dulaara (khwaja ji)
khwaja ji, khwaja ji, khwaja ji, khwaja ji..........

Audio


VIDEO




3.


FILM: UMRAO JAAN [2008] J.P. DUTTA

CAST: ABISHEK BACHHAN, AISHWARIYA RAI, SUNIL SHETTY, SHABANA ASMI, HIMANI SHIVPURI,
KHULBHUSHAN KHARBANDA, DIVYA DATTA

LYRICS: JAVED AKTHAR
MUSIC: ANU MALIK


A. SINGER: ALKA YAGNIK




laakh is dil ko humne samjhaya
hai dil yahan phir bhi humko le aaya
salaam salaam
tumhare mehfil mein aagaye hain
tumhare mehfil mein aagaye hain
to kyon na hum yeh bhi kaam karlein
salaam karne ki arzoo hai salaam karne ki aarzoo hai
idhar jo dekho salaam karlein
tumhare mehfil mein aagaye hain
to kyon na hum yeh bhi kaam karlein
salaam karne ki arzoo hai idhar jo dekho salaam karlein

yeh dil hai jo aagaya hai tum par
vagar na sach yeh hai banda par var
yeh dil hai jo aagaya hai tum par
vagar na sach yeh hai banda par var
jise bhi hum dekhlein palat kar
jise bhi hum dekhlein palat kar
ussi ko apna ghulam karlein
salaam karne ki arzoo hai idhar jo dekho to salaam karlein
bahut si baatein hain tumko kehni
bahut si baatein hain humko kehni
bahut si baatein hain tumko kehni
bahut si baatein hain humko kehni
kabhi jo tanha milo kahin tum
kabhi jo tanha milo kahin tum
to baatein hum yeh tamaam karlein salaam karn e ki
arzoo hai idhar jo dekho
salaam karlein
vo laila majnu ki ho mohabbat
ke sheere farhad ki ho ulfat
vo laila majnu ki ho mohabbat
ke sheere farhad ki ho ilfat
zara si tum jo dikhaao jur hai
zara si tum jo dikhaao jur hai to hum bhi un jaisa naam karlein
tumhare mehfil mein aagaye hain to kyon na hum yeh bhi kaam karlein salaam karne ki arzoo hai idhar jo dekho
salaam karlein

Audio


VIDEO


MOVIE: UMRAO JAAN [ 1981]


B. SINGER: ASHA BHOSLE: LYRICS: SHAHRIYAR


Aa aa aa aa, aa aa aa
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye - 2
Bas ek baar mera kaha
Bas ek baar mera kaha maan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein, aah, aah aah aah
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein aap ko aana hai baar baar
Aana hai baar baar
Deevaar-o-dar ko gaur se
Deevaar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Maana ke doston ko nahin
Doston, doston ko nahin
Maana ke doston ko nahin dosti ka paas
Lekin yeh kya ke gair ka
Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Kahiye to
Kahiye to aasmaan ko
Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laaye
Mushkil nahin hai kuch bhi
Mushkil nahin hai kuch bhi agar thaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek baar, bas ek baar
Bas ek baar mera kaha maan lijiye
Maan lijiye, maan lijiye


VIDEO



4.


MOVIE: APKI PEHALE BHI KAHUN DEKHA HAI [ 2003] ANUBHAV SINHA

CAST: OM PURIM PRIYANSHU CHATTERJEE, SAKSHI SHIVANAND, FARIDA JALAL,ARUNDHATI
ROY, MANOJ PAHWA, VIRENDRA SAXENA, NAVNEDT NISHAN.
LYRICS: SAMEER
MUSIC: NIKHIL, VINAY


A. SINGER: ALKA YAGNIK & UDIT NARAAYAN


aapako pehale bhi kahi dekha hai - 6
(rat khwabo me, bekarari me,
hosh me dilbar ya khumari me
dil mera kehta hai bar-bar,
(aapako pehale bhi kahi dekha hai - 2)) - (2)

pal do pal ka sath hai,
kehani kitani bat hai
ijhhar kaise karu,
main tumse anjan hu
thoda sa haira hu,
ikrar kaise karu
raho me takrayenge
ye socha na tha
ham aise mil jayenge
ye socha na tha
yar yado me, ya khayalo me,
in andhero me, ya ujalo me
dil mera kehta hai bar-bar,
(aapako pehale bhi kahi dekha hai - 5)

sapano ki barat me,
pehali mulakat me
deewana main ban gaya,
in afsano ki kasam
sari duniya se sanam,
begana main ban gaya
kya hal hai mera tumse main kaise kahu
lekin ye bhi mushkil hai
chup kaise rahu
rang-e-mehfil me, yake mele me,
bhid me, janam ya akele me
ha dil mera kehta hai bar-bar,
(aapako pehale bhi kahi dekha hai - 2)
rat khwabo me, bekarari me,
hosh me dilbar ya khumari me
dil mera kehta hai bar-bar,
(aapako pehale bhi kahi dekha hai - 5)


VIDEO



B. SINGERS: JAGJIT SINGH & ASHA BHOSLE


--MALE--
Hm hm hm hm hm, hm hm hm hm hm hm hm - 2
Aisi aankhen nahin dekhi

--FEMALE--
Aah aah aah aah aah, aah aah

--MALE--
Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha, aisa chehra nahin dekha
Jab yeh daaman ki hawa de, aag jungle mein laga de
Jab yeh saheraaon mein jaaye, ret mein phool khilaaye
Hm hm hm hm hm, hm hm hm hm hm hm hm - 2

--FEMALE--
Aisi duniya nahin dekhi, aisa manzar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha, aisa dilbar nahin dekha

--MALE--
Uske kangan ka khalakna jaise bulbul ka chahekna
Uski paazeb ki chham chham jaise barsaat ka mausam

--FEMALE--
Mm mm mm mm mm, la la la la la la la la

--MALE--
Hm hm hm hm hm, hm hm hm hm hm hm hm

--FEMALE--
Aisa saawan nahin dekha, aisi baarish nahin dekhi
Aisi rimjhim nahin dekhi, aisi khwaahish nahin dekhi

--MALE--
Uski bebaaq si baatein jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhaai-e-masti jaise toofaan mein kashti
Hm hm hm hm hm, la la la la la la la la

--FEMALE--
Aah aah aah aah aah aah, la la la la la la la la

--MALE--
Meethi koyal si hai boli jaise geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe paseena jaise phaagun ka maheena
Aisi aankhen nahin dekhi

--FEMALE--
La la la la la la la la la

--MALE--
Aisa kaajal nahin dekha

--FEMALE--
Hm hm hm hm hm hm hm hm hm

--MALE--
Aisa jalwa nahin dekha

--FEMALE--
La la la la la la la la la

--MALE--
Aisa chehra nahin dekha

--FEMALE--
La la la la la la la la la

VIDEO





6.

MOVIE: NAAM [ 1986] MAHESH BHATT

CAST: KUMAR GAOURAV, POONAM DHILLON, SANJAY DUTT, AMRITA SINGH, PARESH RAWAL,
NUTAN, AKASH KHURANA, KAMAL DEEP, POORNIMA, SHEHNAZ ANAND....

LYRICS: ANAND BAKSHI
MUSIC: LAXMIKANT & PYARELAL



SINGER: PANKAJ UDHAS



chitthi aai hai aai hai
chitthi aai hai -2
chitthi hai vatan se
chitthi aayi hai
bade dino ke baad,
ham bevatano ko yaad -2
vatan ki mitti aai hai,
chitthi aai hai

upar meraa naam likhaa hai,
adar ye paigaam likhaa hai -2
o parades ko jaane vaale,
laut ke phir naa aane vaale
saat samudar paar gayaa tu,
hamako zidaa maar gayaa tu
khun ke rishte tod gayaa tu,
aankh me aansu chhod gayaa tu
kam khaate hai kam sote hai,
bahut zyaadaa ham rote hai, chitthi

suni ho gai shahar ki galiyaan,
kaate ban gai baag ki kaliyaan -2
kahate hai saavan ke jhule,
bhul gayaa tu ham nahi bhule
tere bin jab aai divaali,
dip nahi dil jale hai khaali
tere bin jab aai holi,
pichakaari se chhuti goli
pipal sunaa panaghat sunaa ghar
shamashaan kaa banaa namunaa -2
fasal kati aai baisaakhi,
teraa aanaa rah gayaa baaki, chitthi

pahale jab tu khat likhataa thaa
kaagaz me cheharaa dikhataa thaa -2
bad huaa ye mel bhi ab to,
khatam huaa ye khel bhi ab to
doli me jab baithi bahanaa,
rastaa dekh rahe the nainaa -2
mai to baap hun meraa kyaa hai,
teri maan kaa haal buraa hai
teri bivi karati hai sevaa,
surat se lagati hai bevaa
tune paisaa bahut kamaayaa,
is paise ne desh chhudaayaa
pachhi pijaraa tod ke aajaa,
desh paraayaa chhod ke aajaa
aajaa umar bahut hai chhoti,
apane ghar me bhi hai roti, chitthi



VIDEO



7.

MOVIE: NIKAH [ 1982] GEETA PRIYA

LYRICS: HASSAN KAMAL
MISIC: RAVI

CAST: AJAY HANDA BABY SAPNA, BABBU DINKAR, RAZA MURAD, RAKSH BEDI


SINGER: GHULAM ALI



--MALE--
Oh oh oh, aah aah, oh oh oh, oh ho ho
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Hm mm mm hm, aah aah, mm mm mm mm, mm mm mm hm mm



VIDEO



8.

MOVIE: BAZAAR [ 1982] SAGAR SARHADI

CAST: NASRIDEEN SHAH, SUPRIYA PATHAK, SMITA PATIL, FAROOQ SAEOKH, MALIKA,
HARAT KAPOOE, JAVED KHAN, NISHA SINGH....


LYRICS: MIRZA SHAUKH
MUSIC: KHAYYAAM


SINGER: JAGJIT KAUR



Dekh Lo Aaj Humko Ji Bharke

Koi Aata Nahin Hai Phir Marke


Ho Gaye Tum Agar Saudai

Door Pahunchegi Meri Rusvayi

Dekh Lo Aaj…


Aao Achhi Tarah Se Kar Lo Pyar

Ke Nikal Jaye Kuch Dil Ka Bukhar

Dekh Lo Aaj…


Phir Hum Uthne Lage Bitha Lo Tum

Phir Bigad Jaaye Mana Lo Tum

Dekh Lo Aaj…


Yaad Itni Tumhe Dilaate Jaayen

Paan Kal Ke Liye Lagate Jaayen

Dekh Lo Aaj…



VIDEO




9.

MOVIE: NARGIS [ 1993]

CAST; HEMA MALINI, NASRUDEEN SHAH, ZEBA

LYRICS: MAJROOH SULTANPURI
MUSIC: BASU CHAKRABORTI

SINGERS: JAGJIT SINGH & LATA



--FEMALE--
Mm hm hm hm, majboor pyaar se
Dono ke dil hai majboor pyaar se - 2
Hum kya kare meri jaan tum kya karo
Meri jaan, tum kya karo

--MALE--
Dono ke dil hai majboor pyaar se
Hum kya kare meri jaan tum kya karo

--FEMALE--
Meri jaan, tum kya karo
Hum to sanam tumko chaahe umar bhar dekhe
Dil ki pyaas kehti hai, aur ek nazar dekhe

--MALE--
Aah

--FEMALE--
Hum to sanam tumko chaahe umar bhar dekhe
Dil ki pyaas kehti hai, aur ek nazar dekhe

--MALE--
Ho, dekho hamaara bhi haal, har dam tumhaara khayaal
Dekho hamaara bhi haal, har dam tumhaara khayaal
Dil mein uthaata hai toofaan, hum kya kare

--FEMALE--
Tum kya karo

--MALE--
Dono ke dil hai majboor pyaar se

--FEMALE--
Dono ke dil hai majboor pyaar se

--MALE--
Hum kya kare meri jaan tum kya karo

--FEMALE--
Meri jaan, tum kya karo

--MALE--
Lekar tumhaara naam aise khoye rehte the
Aaj humko deewaana hanste log kehte hain

--FEMALE--
Aah

--MALE--
Lekar tumhaara naam aise khoye rehte the
Aaj humko deewaana hanste log kehte hain

--FEMALE--
Ho, jis dil mein hota hai pyaar, kaise na ho beqaraar
Jis dil mein hota hai pyaar, kaise na ho beqaraar
Yeh dil agar hai pareshaan, hum kya kare

--MALE--
Tum kya karo

--FEMALE--
Dono ke dil hai majboor pyaar se

--MALE--
Dono ke dil hai majboor pyaar se

--BOTH--
Hum kya kare meri jaan, tum kya karo
Meri jaan, tum kya karo



VIDEO



10.


MOVIE: DIL KAHIN HOSH KAHIN
CAST: RIYA SEN
LYRICS: NIDA FAZLI
MUSIC: AADESH SRIVASTAVA



SINGERS: JAGAJIT SINGH, ASHA BHOSLE & LATA



--FEMALE 1--
Kahin kahin se har chehra - 2
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, oh oh, oh ho ho ho, oh




--MALE--
Aisa bhi ek rang hai, mm mm mm, oh oh
Aisa bhi ek rang hai
Jo karta hai baatein bhi
Jo bhi isko pehn le
Voh apna sa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai




--FEMALE 2--
Sa sa sa ga ga ga ga pa pa pa, aah - 2
Re re re re re ma
Ma pa ga, ga ma re, re ga sa



Aur to sab kuch theek hai lekin - 2
Kabhi kabhi yunhi chalta phirta shaher
Achaanak, achaanak tanha lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai




--FEMALE 1--
Abhi yun milte hain humse phool chameli
Jaise inse apna koi - 2
Rishta lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, aah aah aah, oh ho ho ho ho, oh
Oh oh, aah aah aah aah




VIDEO



11.


MOVIE : KHAMOSHI

LYRICS: IBM-E-INSHA
MUSIC: JAGJIT SINGH



SINGER: JAGJIT SINGH





--MALE--
Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi
Hum bhi vahin maujood the - 2
Humse bhi sab poochha kiye
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum has diye, hum chup rahe - 2
Manzoor tha parda tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Is shaher mein kisse mile - 2
Humse to chhooti mehfilein
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le - 2
Har shaks deewana tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Jungle tere, parbat tere - 2
Basti teri, sahera tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Bedard sunni ho to chal - 2
Kehta hai kya achchhi ghazal
Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera, ruswaan tera - 2
Shaayar tera, inshaa tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2


VIDEO





12.

MOVIE: TARKEIB [ 2000] ISMAIEL SHROFF

CAST: NANA PALSIKAR, TABU, SHILPA SHETTY, ADITYA PANCHOLI,TIKU TALSANIA;
ANNAPOORNA, VIJAYAKUMAR, MEGHNA TIWARI....

LYRICS: NIDA FAZIL
MUSIC: ADESH SRIVASTAVA


SINGERS: JAGJIT SINGH & ALKA YAGNIK




chaand bhee dekha phul bhee dekha
badal bijalee titalee juganu, koyee nahee hai aisa
tera husn hai jaisa - (2)

meree nigaah ne yeh kaisa khwaab dekha hai
jamin pe chalata huwa mahtaab dekha hai

meree aankho ne chuna hai tujhko duneeya dekhkar - (2)
kiska chehara -2 abb mai dekhu, tera chehara dekhkar
meree aankho ne chuna hai tujhko duneeya dekhkar

nind bhee dekhee, khwaab bhee dekha - (2)
chudee bindiya darpan khushbu, koyee nahee hai aisa
tera pyaar hai jaisa - (2)

meree aankho ne chuna hai tujhako duneeya dekhkar - (2)
kiska chehara -2 abb mai dekhu, tera chehara dekhkar
meree aankho ne chuna hai tujhko duneeya dekhkar

rang bhee dekha, rup bhee dekha - (2)
rasta manjil saahil mehfil, koyee nahee hai aisa
tera saath hai jaisa - (2)

meree aankho ne chuna hai tujhko duneeya dekhkar - (2)
kiska chehara -2 abb mai dekhu, tera chehara dekhkar
meree aankho ne chuna hai tujhko duneeya dekhkar

bahut khubsuat hai aankhe tumhaaree, bana dijiye inako kismat hamaaree
use aur kya chaahiye jindagee me, jise mil gayee mohabbat tumhaaree


VIDEO



13.


MOVIE: LAL QUILLA [ 1961] NANUBHAI BHATT

CAST: JAIRAJ, NIRUPA ROY, TIWARI LUMAR, HELEM, KAMAL KAPOOR, B.M. VYAS
M. KUMAR

LYRICS: BAHADUR SHAH ZAFAR
MUSIC : S.N. TRIPATHI


SINGER: MOHD. RAFI




naa kisee kee aankh kaa nur hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu,
naa kisee ke dil kaa karar hu
jo kisee ke kam naa aa sake,
mai woh ek mushthe ghubar hu
naa kisee kee aankh kaa nur hu

naa toh mai kisee kaa habib hu,
naa toh mai kisee kaa rakib hu
jo bigad chala gaya woh nasib hu,
jo ujad gaya woh dayar hu

meraa rang rup bigad gaya,
meraa yar muhjse bichad gaya
jo chaman khijan me ujad gaya,
mai usi kee fasle bahar hu

naa kisee kee aankh kaa nur hu,
naa kisee ke dil kaa karar hu

pay fatiha koi aaye kyon,
koi char phul chadaye kyon
koi aake shama jalaye kyon -2,
mai woh be-kasi kaa majar hu
naa kisee kee aankh kaa nur hu,
naa kisee ke dil kaa karar hu
jo kisee ke kam naa aa sake,
mai woh ek musth-e-gubar hu
naa kisee kee aankh kaa nur hu

mai kaha rahu mai kaha basu,
naa yeh mujhse khush
naa woh mujhse khush
mai jamin kee pith kaa bojh hu,
mai falak ke dil kaa gubar hu
naa kisee kee aankh kaa nur hu



VIDEO



14.

MOVIE: YEH ZINDAGI KA SAFAR [ 2001] TANUJA CHANDRA

CAST: AMISHA PATEL, JIMMY SHEORAGILL, EHSAN KHAN, GULSHAN GROVER, NAFIZA ALI....

LYRICS: SALIM BIJNORI
MUSIC: DABOO MALIK



SINGER: HARIHARAN


Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana
Yahan har raat ki subhaa hai hamdam
Tum na ghabraana
Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana

Churaa lo tum khushi ke pal
Muqaddar ke khazaane se
Bhalaa kab door hote hai
Yeh gham aansu bahaane se
Tumhaare saath ho na ho yeh aalam
Tum na ghabraana
Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana

Sambhal jaao, sambhal jaao
Abhi girke sambhalna hai
Utho vaadein nibhaane hai
Utho kuch door chalna hai
Chalenge to hi manzil paayenge hum
Tum na ghabraana
Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana
Yahan har raat ki subhaa hai hamdam
Tum na ghabraana



VIDEO

5 comments:

  1. Anonymous10:27

    When someone writes an piece of writing he/she retains the
    plan of a user in his/her brain that how a user can
    understand it. Thus that's why this post is outstdanding. Thanks!

    Here is my weblog; nudes
    My website - more

    ReplyDelete
  2. Anonymous19:00

    Today, I went to the beachfront with my children. I found a
    sea shell and gave it to my 4 year old daughter and said "You can hear the ocean if you put this to your ear." She placed the shell to her ear and screamed.

    There was a hermit crab inside and it pinched her
    ear. She never wants to go back! LoL I know this is totally off topic but I had to tell someone!


    my page; http://petitevirgins.net/index.php?own=2084012

    ReplyDelete
  3. Anonymous16:36

    This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  4. Anonymous19:31

    This website certainly has all of the info I wanted concerning this
    subject and didn't know who to ask.

    My site or nubiles aldi

    ReplyDelete
  5. Anonymous12:57

    After looking at a few of the blog articles on your web page, I really appreciate your way of blogging.
    I book marked it to my bookmark site list and will be
    checking back in the near future. Take a look at my website as well and tell me what
    you think.

    Here is my weblog: 2013 At 11:50 Pm

    ReplyDelete