Tuesday, June 5, 2012

HARIHARAN: HINDI GHAZALS







HARIHARAN


1. MUJHE PHIR VAHI YAAD AANE Lagi

mujhe phir vahi yaad aane lage hain
jinhe bhuulane mein zamaane lage hain

mudhdaton gam pe gam uthaaye hain
tab kahin jaake musakuraaye hain

ek nigaah khuluus ki khaatir
zindagi bhar fareb khaaye hain

mujhe phir vahi yaad aane lage hain
jinhe bhuulane mein zamaane lage hain

suna hai hamein vah bhuulaane lage hain
to kya ham unhein yaad aane lage hain

yah kahana hai unase muhabbat hain mujhko
yah kahane mein unase zamaane lage hain

qayaamat yaqinan karib aa gayi hain
khumaar ab to masjid mein jaane lage hain

copy paste the url below for viewing video
http://www.youtube.com/watch?v=v7GYiDuBrBo&feature=related






2. YE KWAAB SE DEKHA THA BAS JAAN-E-WAFA TUM HO

ye khwaab sa dekha tha bas jaan-e-vafa tum ho
ham jaage to ye jaana jine ki saza tum ho


aramaan bhare dil ko ik zahar pilaaya hai
vah saaz ho tum jisane nagmon ko rulaaya hai
ab tum hi zara socho kya isake siva tum ho

tum pyaasi nigaahon ki kya pyaas bujhaayogi

kuchh dard siva hoga jab saamane aayogi
bejaan bahaaron ki berang fiza tum ho

jis haal mein hain hamako us haal mein rahane do
ashkon ki zubaan se tum itana hamein kahane do
jo ruuh ko jhulasa de vo garm hawa tumho

VIDEO NOT AVAILABLE




3.


MOVIE : YEH ZINDAGI KI SAFAR [2001]

LYRICS: SALIM BIJNORI
MUSIC: DABOO MALIK



Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana
Yahan har raat ki subhaa hai hamdam
Tum na ghabraana
Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana

Churaa lo tum khushi ke pal
Muqaddar ke khazaane se
Bhalaa kab door hote hai
Yeh gham aansu bahaane se
Tumhaare saath ho na ho yeh aalam
Tum na ghabraana
Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana

Sambhal jaao, sambhal jaao
Abhi girke sambhalna hai
Utho vaadein nibhaane hai
Utho kuch door chalna hai
Chalenge to hi manzil paayenge hum
Tum na ghabraana
Zamaane mein sabhi ko milte hai gham
Tum na ghabraana
Yahan har raat ki subhaa hai hamdam
Tum na ghabraana

copy paste the url below for viewing video
http://www.youtube.com/watch?v=MbGxQK7yUQA&feature=results_video&playnext=1&list=PLA09BBF9048FF13AD



4.

MOVIE: GHOONGHAT [1997]
LYRICS: ANAND RAJ ANAND, DEV KOHLI, VIKI NAGAR
MUSIC: ANAND RAJ

GHOONGHAT MEIN CHEHRA AAP KA

(Ghoonghat mein chehra aap ka
Kuch is tarah se kho gaya) - 2
Jhagda hi jaise chaand ka
Baadalon se ho gaya
Ghoonghat mein chehra aap ka
Kuch is tarah se kho gaya
Jhagda hi jaise chaand ka
Baadalon se ho gaya
Ghoonghat mein chehra aap ka
Kuch is tarah se kho gaya
(Nazrein meri nazar se meri jaan zara milaao
Koi geet main bana loon, dhun aisi gun gunaao) - 2
Suno, leke tumhe apni baahon mein
Ghoonghat main khol doon
Dil keh raha hai kisi bhi tarah
Tera chehra main dekh loon
Jaadu
Jaadu sa dil pe aap ki
Ek hi nazar mein ho gaya
Jhagda hi jaise chaand ka
Baadalon se ho gaya
Ghoonghat mein chehra aap ka
Kuch is tarah se kho gaya
(Kayi baar maine socha, aur sochkar yeh jaana
Bin dekhe hi tujhe kyoon main ho gaya deewana) - 2
Hello, aise khafa si kyoon baithi ho
Ghoonghat ko odhke
Tumko milega kya itna bataao
To dil mera todke
Ghoonghat, haan aah
Ghoonghat nahin yeh aap ka
Dushman yeh mera ho gaya
Jhagda hi jaise chaand ka
Baadalon se ho gaya
Ghoonghat mein chehra aap ka
Kuch is tarah se kho gaya
Jhagda hi jaise chaand ka
Baadalon se ho gaya
Ghoonghat mein chehra aap ka
Kuch is tarah se kho gaya

copy paste the url below for viewing video
http://www.youtube.com/watch?v=kOKeQ-DGAsI



5.

MOVIE: YADEIN

LYRICS: ANAND BAKSHI
MUSIC: ANU MALIK



KUCH SAAL PAHLE



--CHORUS--
Waaye waahe, zum zum zum, waaye waahe - 2
Pa ni pa ni sa, ga re sa ni
Pa ni pa ni sa, ma ni sa

--MALE--
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Apni bhi kabhi pehli mulaqaat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi

--CHORUS--
Waaye waahe, zum zum zum, waaye waahe - 2
Pa ni pa ni sa, ga re sa ni
Pa ni pa ni sa, ma ni sa

--MALE--
Baarish mein sadak par, haan chhatri pakad kar
Main jaa raha tha yun, voh aa rahi thi yun
Aa rahi thi yun, yun, yun, yun, hai

--CHORUS--
Pa ni pa ni sa, ga re sa ni
Pa ni pa ni sa, ma ni sa

--MALE--
Takraa gaye dono, ghabraa gaye dono
Ghabraake yeh kaha, ji maaf ki jiye
Matlab tha jiska yeh, dil humko di jiye
Dil humko di jiye, dil humko di jiye

--CHORUS--
Dil humko di jiye, dil humko di jiye

--MALE--
Ho, romance ho gaya, by chance ho gaya
Romance ho gaya, by chance ho gaya
Hum ban gaye sanam, tha waqt bahut kam
Jaldi se dil diya, pandit bulaa liya
Ghode pe baithke hum dulhaa ban gaye
Hum dulhaa ban gaye, hum dulhaa ban gaye

--CHORUS--
Waaye waahe, zum zum zum, waaye waahe

--MALE--
Kitni haseen, ho

--CHORUS--
Waaye waahe, zum zum zum, waaye waahe

--MALE--
Kitni haseen voh milan ki raat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi

--CHORUS--
Pa ni pa ni sa, ga re sa ni
Pa ni pa ni sa, ma ni sa
Phir kya hua, kya hua raaj babu?

--MALE--
Aah, kya jaane kya khabar
Kiski lagi nazar, vaadon ko todke
Yaadon ko chhodke
Voh kya bichhad gayi, duniya ujhad gayi
Deepak hai lo nahin, main to hoon
Voh nahin, voh nahin, voh nahin

--CHORUS--
Pa ni pa ni sa, ga re sa ni
Pa ni pa ni sa, ma ni sa

--MALE--
Hoti voh aaj to, dholak bajaati voh - 2
Masti mein jhoomti, beti ko choomti
Deti duaayein voh, leti balaayein voh
Gaati suhaag voh, lagti na aag voh
Main jis mein jal gaya, sab kuch badal gaya
Sab kuch badal gaya, sab kuch badal gaya
Us roz aansuon ki barsaat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi

--CHORUS--
Kuch saal pehle doston yeh baat hui thi
Humko bhi mohabbat kisi ke saath hui thi
(Nagme hain, shikwe hain
Kisse hain, baatein hain) - 2
(Baatein bhool jaati hain
Yaadein yaad aati hain) - 2
Yaadein, yaadein, yaadein

--MALE--
Yeh yaadein kisi dil-o-jaanam ke
Chal jaane ke baad aati hain

copy paste the url below for viewing video

http://www.youtube.com/watch?v=15ao98A5cDg

No comments:

Post a Comment