The ghazal is a poetic form consisting of rhyming couplets and a refrain, with each line sharing the same meter. The form is ancient, originating in 6th century Arabic verse. ...Qawwali (Nastaʿlīq: قوّالی; Gurmukhī: ਕ਼ੱਵਾਲੀ; Devanāgarī: क़व्वाली; Eastern Nagari: ক়ব্বালী) is a form of Sufi devotional music popular in South Asia,derabad, Delhi, and other parts of northern India. Musical tradition that stretches back more than 700 years.
Wednesday, December 28, 2011
GHAZALS: SELECTION FROM FILMS: JAGJIT N" CHITHRA SINGH
1. HUM TO YUN APNI : JAGJIT SINGH
LYRICS: SUDHARSAN FAKIR
hum to yun apni zindagi se mile..
ajnabi jaise ajnabi se mile..
har wafa ek jurm ho goya..
dost kuch aisi berukhi se mile..
phool hi phool hum ne mange the..
daag hi daag zindagi se mile..
jis tarah aap hum se milte hain..
adami yun na adami se mile..
AUDIO
VIDEO
2. JAISE BETAB DILKO KARAAR
SINGER; JAGJIT SINGH ^ CHITHRA SINGH
baad muddat unheN dekh kar yooN laga
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarzoo ke gul muskuraane lage
jaise gulshan meiN bahaar aa gaya
tishna nazreN mili shokh nazroN se jab
maiN barasne lagi jaam bharne lage
saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN
bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya
raat sone lagi subah hone lagi
shamma buJhne lagi dil machalne lage
waqt ki roshni meiN nahaayee huyi
zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya
AUDIO
VIDEO
3. NA MOHABAT NA DOSTI : JAGJIT SINGH
Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye
Waqt Rukta Nahi Kisike Liye
Dil Ko Apne Sazaa Na De Yun Hi
Is Zamane Ki Berukhi Ke Liye
Kal Jawani Ka Hashr Kya Hoga
Soch Aaj Do Ghadi Ke Liye
Har Koi Pyar Dhundta Hai Yahan
Apni Tanha Zindagi Ke Liye
Waqt Ke Saath-2 Chlta Chale
Yahi Behtar Hai Aadmi Ke Liye
AUDIO
VIDEO
4. MAIN AUR MERI TANHAI
aawaara hai galiyon meiN main aur meri tanhayee
jaayeN to kahan jaayeN har moD pe ruswaayee
maiN aur meri tanhaayee maiN aur meri tanhaayee
ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
aakaash ke maathe par taaroN ka charagam hai
pehloo meiN magar mere zakhmoN ka gulistaan hai
aankhOn se lahoo tapka daaman meiN bahaar aayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
AUDIO
VIDEO
5.. MERA DASRWAZ SE
mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do
saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se
apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj
fenk do jism se kirnoN ka sunahri zewar
tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho
ek muddat se tumhare hi liye rakha hai
mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand
AUDIO
VIDEO
6. HUM BHU SHARABI TUM BHI: CHITHRA SINGH
hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi
chalke gulaabi, chalke gulaabi
taqdeer dil ki khaana kharaabi
jab tak hai jeena khush ho ke jee leiN
jab tak hai peena jee bhar ke pee leiN
hasrat na koi reh jaaye baaki
kal suboh ke daaman meiN, tum hoge na hum honge
bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge
bas raat bhar ke mehmaan hum haiN
zulfoN meiN shab ke thoDe se kam haiN
baaki rahega saagar na saaqi
AUDIO
VIDEO
7. MERA GEET AMAR KAR DO : JAGJIT SINGH
honto se chhu lo tum, mera geet amar kar do - (2)
ban jaao meet mere, meri preet amar kar do
honto se chhu lo tum, mera geet amar kar do
na umrr ki sima ho, na janm ka ho bandhan - (2)
jab pyaar kare koyi, toh dekhe kewal mann
nayi reet chalaakar tum, yeh reet amar kar do - (2)
aakaash ka sunaapan mere tanaha mann mein - (2)
paayal chhankaati tum aa jaao jivan mein
saansein dekar apani sangeet amar kar do
sangeet amar kar do, mera geet amar kar do
jag ne chhina mujhase mujhe jo bhi laga pyaara - (2)
sab jita kiye mujhase main hardam hi haara
tum haar ke dil apana meri jeet amar kar do - (2)
honto se chhu lo tum, mera geet amar kar do
AUDIO
VIDEO
8. TAMANNAAON KE BEHLAVE
Tamannaon Ke Bahlave Mein Aksar Aa Hi Jaate Hain
Kabhi Hum Chot Khaate Hain Kabhi Hum Muskuraate Hain
Ham Aksar Doston Ki Bewafee Seh To Lete Hain
Magar Hum Jaante Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain
Kisi Ke Saath Jab Beete Huye Lamhon Ki Yaad Aayee
Thaki Aakhon Mein Askhon Ke Sitaare Jhilmilaate Hain
Ye Kaisa Istheyaaki Deed Aur Kaisi Majboori
Kisi Ki Bazm Tak Hum Kyoon Jaa Jaa Ke Laut Aate Hain
AUDIO
VIDEO
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Very nice post. I just stumbled upon your weblog and
ReplyDeletewished to say that I have really enjoyed surfing around your
blog posts. After all I will be subscribing to your feed and I hope you write again very
soon!
Have a look at my weblog; buy twitter followers cheap
Very nice post
ReplyDelete