Wednesday, December 21, 2011

MIRZA GHALIB GHAZALS [10]




Dabir-ul-Mulk, Najm-ud-Daula Mirza Asadullah Baig Khan (Urdu/Persian: مرزا اسد اللہ بیگ خان), pen-name Ghalib (Urdu/Persian: غالب, ġhālib means dominant) and (former pen-name) Asad (Urdu/Persian: اسد, asad means lion) (27 December 1797 – 15 February 1869), was a classical Urdu and Persian poet from India during British colonial rule. During his lifetime the Mughals were eclipsed and displaced by the British and finally deposed following the defeat of the Indian rebellion of 1857, events that he wrote of. Most notably, he wrote several ghazals during his life, which have since been interpreted and sung in many different ways by different people. He is considered, in South Asia, to be one of the most popular and influential poets of the Urdu language. Ghalib today remains popular not only in India and Pakistan but also amongst diaspora communities around the world.

Urdu poet of Mughal era
Mirza Asadullah Khan Ghalib
Born 27 December 1797
Agra, Maratha Confederacy
Died 15 February 1869 (aged 72)
Delhi, Punjab, British India
Pen name Asad, Ghalib
Occupation Poet
Period Mughal era
Genres Ghazal
Subjects Love, Philosophy



MIRZA GHALIB : GHAZALS


1. AA.KI MEREE JAAN KO QARAR NAHEEN HAI


aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
to,
giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai
dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !


SONU NIGAM: ALTERNATE


VIDEO
********


( [ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
KHummaar = intoxication ]
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according
[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]
[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]
[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]
[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ])

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]
[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]




2. BAAZEECHAA-E-ATFAAL HAI DUNIYA MERE AAGE


baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage
. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage
hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage
mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage
sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage
fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage
nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage
. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage
aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage
. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage
hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage
go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage
. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !


JAGJIT SINGH

VIDEO



*******

([ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]
[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]
[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]
[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]
[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]
[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]
[ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]
[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]
[ farebee = a fraud/cheat ]
[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]
[ hijr = separation ]
[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]
[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]


3. DARD MINNAT_KASH-E- DAW NA HUAA

dard minnat_kash-e-dawa na huaa
maiN na achchaa huaa, bura na huaa
. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
ik tamaasha huaa gila na huaa
. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
too hee jab KHanjar aazma na huaa
. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
gaaliyaaN khaake be_maza na huaa
hai KHabar garm unke aane kee
aaj hee ghar meiN boriya na huaa !
. kya woh namrood kee KHudaaee thee
bandagee meiN tera bhala na huaa
jaan dee, dee huee usee ki thee
haq to ye hai ke haq adaa na huaa
zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
kaam gar ruk gaya rawa na huaa
rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?
leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa
kuchch to paDhiye ki log kehte haiN

"aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"

MOHD. RAFI


VIDEO


*********
[ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]
[ raqeeb = opponent, gila = complaint ]
[ boriya = mat, here it refers to groceries ]
namrood = an old king who used to say that he was god ]
[ rawa = right/lawful ]
[ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ]


4. DIL SE TERI NIGAAH JIGAR UTA GAYEE

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee shaq hogaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee
woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee
. uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gaye
. dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar ga
. har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gay
. nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee
. farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee
. maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?


MASOOD & SHEELO KHAN

VIDEO


*********
([ shaq = crack/split, firaaq = separation,
pardaadaaree = to hide, esp. fault ]
[ baada = wine, shabaana = night, sahar = morning ]
[ baare = at last, koo-e-yaar = lover's street ]
[ dil_fareb = heart alluring, naqsh = copy/print, pa = leg,
mauj = wave/enjoyment, KHiraam = speed ]
[ bulhawas = greedy, husn_parastee = to appreciate beauty,
shiaar = habit, aabru = respect/honour, sheva = manner/habit ]
[ farda = yesterday, dee = tomorrow, tafarqa = difference ]
[ walwale = enthusiasm ] )


5. FIR MUJHE DEEDA-E-TAT YAAD AAYA



fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya
dam liya tha na qayaamat ne hanoz
fir tera waqt-e-safar yaad aaya .
. saadgee haay tamanna, yaanee
fir wo nai_rang-e-nazar yaad aay
. uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya
. zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
kyoN tera raahguzar yaad aaya ?
. kya hee rizwaaN se laDaayee hogee
ghar tera KHuld meiN gar yaad aay
. aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aaya
. fir tere kooche ko jaata hai KHayaal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya
. koee weeraanee-see-weeraanee hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
. maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad'
sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya


TALAT MOHD

VIDEO

LATA MANGESHAKAR

VIDEO

SHAHIDA PARVEEN

VIDEO






********
[ hanoz = yet/still ]
[ nai_rang = fascinating ]
[ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ]
[ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ]
[ jurat = courage/valour ]
[ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ]
[ dasht = desert ]
[ sang = stone ]


6. HUSN-E-MAH,GARCHE BA_HAnGAM-E-KAMAAL ACHCHA HAI



husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai
. bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha ha
. aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha ha
. be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai
. unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai
. dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai
. ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha h
. qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha h
. KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai
. hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai

JAGJIT SINGH [ALTERNATE]

VIDEO

*********

(mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]
[ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]

[ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]
[ ham_suKHan = together, tesha = axe ]
[ bosa = kiss ]
[ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]
[ ma'aal = result ]

[ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/
God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree)


7. ISHQ MUJHKO NAHEEn WEHSHAT HEE SAHEE

. ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
meree wehshat, teree shohrat hee sahe
. qata`a keeje na ta`alluq ham se
kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee
mere hone meiN hai kya ruswaaee ?
'ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahe
. ham bhee dushman to naheeN haiN apne
GHair ko tujh se mohabbat hee sahee
apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !
aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee
'umr harchand ke hai barq-e-KHiraam
dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee
ham koee tarq-e-wafa karte haiN
na sahee ishq, museebat hee sahee
kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf
aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee
ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge
be_niyaazee teree `aadat hee sahee
. yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad'
gar nahee wasl to hasrat hee sahee


CHITHRA SINGH

VIDEO

******
[ wehshat = solitude, shohrat = fame ]
[ qata'a = break/intercept, ta'alluq = relation/connection,
'adaavat = hatred/animosity ]
[ majlis = assembly, KHalwat = isolation ]
[ barq = lightning, KHiraam = manner of walking ]
[ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,
GHaflat = negligence ]
[ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,
GHaflat = negligence ]
[ falak = sky ] [ tarq = relinquishment ]
[ tasleem = greeting/saluting, KHoo = habit,
be_niyaazee = independence ]
[ wasl = meeting, hasrat = desire ]


8. RONE SE AUR ISHQ MEIn BE_ BAAK HO GAYE

rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye
. sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee
the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye ]
. ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum
baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye
. kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar
parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye
. pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye
. karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye
. is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash
dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye

LATA MANGESHKAR


VIDEO


***********
[ be_baak = outspoken/bold, paak = pure/clean/holy ]
[ sarf = expenditure, baha = value/price, mai = bar,
aalaat = instruments/apparatus, maikashee = boozing
[ dahar = world, baare = atlast ]
[ chaak = slit/torn ]
[ wujood = existence, adam = non existence,
KHas-o-Khaashaak = destroyed ]
[ taGHaaful = negligence, gila = complaint, KHaak = dust/ashes ]
[ GHamnaak = grief stricken ]


9. YE JO HUM HIJR MEIn DEEWAAR-O-DAR K DEKHTE HAIn

ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN
woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN
nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
tere jawaahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhaiN ?
ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN

LATA MANGESHKAR


VIDEO

********


[ jawaahir = jewels, tarf = golden belt, kulah = crown,
auj = height/position, taal'a = luck, laal-o-guhar = diamonds
& pearls ]


10. YENA THEE HAMAAREE QISMAT KE WISAAL-E-YAAR HOTA

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota
koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota,GHam-e-rozgaaR r
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota
use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota
ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota


jagjit & chithra singh:


AUDIO


VIDEO

***********
[ wisaal-e-yaar = meeting with lover ]
[ hijr = separation, dar = door, saba = wind,
naamaabar = messanger

[ dast-o-baazoo = hands & shoulders ]
[ 'eitabaar = trust/confidence ]

[ 'ehed = oath, oostuwaar = firm/determined ]
[ teer-e-neemkash = half drawn arrow, KHalish = pain ]
[ rag = nerve, sang = stone, sharaar = flash/gleam ]
[ naaseh = councellor, chaarasaaz = healer,
GHamgusaar = sympathizer ]
[ jaaN_gulis = life threatning ]
[ GHarq = drown/sink ]
[ yagaana = kinsman, yaktaa = matchless/incomparable, dooee = duality ]
[ masaail = topics, tasawwuf = mysticism, walee = prince/friend,
baada_KHwaar = boozer ]

No comments:

Post a Comment