MIRZA GHALIB
Dabir-ul-Mulk, Najm-ud-Daula Mirza Asadullah Baig Khan (Urdu/Persian: مرزا اسد اللہ بیگ خان), pen-name Ghalib (Urdu/Persian: غالب, ġhālib means dominant) and (former pen-name) Asad (Urdu/Persian: اسد, asad means lion) (27 December 1797 – 15 February 1869), was a classical Urdu and Persian poet from India during British colonial rule. During his lifetime the Mughals were eclipsed and displaced by the British and finally deposed following the defeat of the Indian rebellion of 1857, events that he wrote of. Most notably, he wrote several ghazals during his life, which have since been interpreted and sung in many different ways by different people. He is considered, in South Asia, to be one of the most popular and influential poets of the Urdu language. Ghalib today remains popular not only in India and Pakistan but also amongst diaspora communities around the world.
Urdu poet of Mughal era
Mirza Asadullah Khan Ghalib
Born 27 December 1797
Agra, Maratha Confederacy
Died 15 February 1869 (aged 72)
Delhi, Punjab, British India
Pen name Asad, Ghalib
Occupation Poet
Period Mughal era
Genres Ghazal
Subjects Love, Philosophy
1. HAR EK BAAT PR KEHTE HO TUM: JAGJIT SINGH
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
pairaahan : dress/cloth/robe
haajat : need
rafuu : darning
guftaar : speech
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=reOmCjoSa3Y
http://www.youtube.com/watch?v=Ratfxfj9yCo
2. TERE WAADE PAR JIYE HUM
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=4wr2nVGyNyY
3. DIL-YE-NADAN TUJHE HUA KYA HAI
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=F8HVPr2gg28
http://www.youtube.com/watch?v=Ys7t9Tsf9s8
4. AANKH SE AANKH MILAA BAAT BANAATA JYOON HAI
aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai
gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai
waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai
ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=UCQX1g
http://www.youtube.com/watch?v=9CFS3PGhsE8
5. MIRZA GHALIB SHAYARI
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=H3-hyK4gdLg
http://www.youtube.com/watch?v=F8HVPr2gg28
http://www.youtube.com/watch?v=Ys7t9Tsf9s8
6. AAH KO CHAAHIYE EK UMAR ASAR HOME TAK
aah ko chahiye ek umar asar hone tak
aah ko chahiye ek umar asar hone tak
kaun jita hai teri julf ke sar hone tak
kaun jita hai teri julf ke sar hone tak
aashiki sabar talab aur tamanna betab
aashiki sabar talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karu
khune jigar hone tak
dil ka kya rang karu
khune jigar hone tak
humne mana ke tagaful na karoge lekin
humne mana ke tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tumko khabar hone tak
aah ko chahiye ek umar asar hone tak
gume hasti ka asadke se ho
jo mar gayi lash
shama har rang jalti hai
sahar hone tak
aah ko chahiye ek umar asar hone tak
kaun jita hai teri julf ke sar hone tak
kaun jita hai teri julf ke sar hone tak
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=OgTYmFUd6s8
http://www.youtube.com/watch?v=9zDmAfXS9y
7. UNKE DEKHNE SE JO
unke dekhne se jo
aa jati hai muh par ronak
wo samjhte hai ke
bimar ka hal acha hai
dekhiye pate hai kusak buto se kya fay
dekhiye pate hai kusak buto se kya fay
ek brahaman ne kaha hai
ke ye sal acha hai
ek brahaman ne kaha hai
ke ye sal acha hai
hamko malum hai jannat ki hakikat lekin
hamko malum hai jannat ki hakikat lekin
dil ke khus rakhne ko
galib ye khyal acha hai
dil ke khus rakhne ko
galib ye khyal acha hai
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=bal4SNBDzdc
8. DIL HI THO HAI NA SANGO KHISHT
dil hi to hai na sango khisht
dard se bhar na aaye kyu
royenge hum hazar bar
koi hame sataye kyu
kaidi hai ya to bande gum
asal me dono ek hai
kaidi hai ya to bande gum
asal me dono ek hai
maut se pahle aadmi
gum se nizat paye kyu
dil hi to na sango khisht
dard se bhar na aaye kyu
royenge hum hazar bar
koi hame sataye kyu
galibe khashta ke begair
kaunse kam band hai
galibe khashta ke begair
kaunse kam band hai
royi ye jar jar kya
kijiye haye haye kyu
dil hi to hai na sango khist
dard se bhar na aaye kyu
royenge hum hazar bar
koi hame sataye kyu
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=49XOMo2hak0
http://www.youtube.com/watch?v=wBufjLVyO_k
9. KAB SE HOON KYA BATAAON JAHAAN-E-KHARAAB MEIN
kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN
jahaan-e-KHaraab : world of problems
shab : night
hijr : separation
taa fir na intezaar meiN neeNd aaye ‘umr bhar
aane ka ‘ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN
taa : so that
‘ahad : promise
qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN
qaasid : messenger
mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN
bazm : meeting/”mehafil”
saaqee : bar tender
‘GHalib’ chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=5DT3hkIv_Y
10. ZULMAT KADE ME N MERA SHAB-E-GAM KAA JOSH HAI
zulmat_kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai
ik shammaa hai daliil-e-sahar, so Khamosh hai
daaG-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii huii
ik shammaa rah gaii hai so vo bhii Khamosh hai
aate haiN Gaib se ye mazaamii.N Khayaal me.n
‘Ghalib’, sariir-e-Khaamaa navaa-e-sarosh hai
[zulmat : darkness
daliil : proof
sahar : morning
firaaq : separation
sohabat : company]
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=-JF3X8ai7Ok
11. BAAZIICHAA-E-ATFAAL HAI DUNIYA MERE AAGE
baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage
hotaa hai nihaa.N gard me.n seharaa mere hote
ghisataa hai jabii.n Khaak pe dariyaa mere aage
mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhe
tuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage
imaa.N mujhe roke hai jo khii.nche hai mujhe kufr
kaabaa mere piichhe hai kaliisaa mere aage
go haath ko jumbish nahii.n aa.Nkho.n me.n to dam hai
rahane do abhii saaGar-o-miinaa mere aage
baaziichaa-e-atfaal : child’s play
nihaa.N : hidden
gard : dust
seharaa : desert
jabii.n : forehead
kufr : impiety
kaliisaa : church/cathedral
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=LC1W3JPNdpM
http://www.youtube.com/watch?v=-UsI9d9kccE
12. HAZARON KHVAAHISHE N AISII KI HAR
hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale
nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale
muhabbat me.n nahii.n hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.n jis kaafir pe dam nikale
Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahii.n aisaa na ho yaa.N bhii vahii kaafir sanam nikale
Kahaa.N maiKhaane ka daravaazaa ‘Ghalib’ aur kahaa.N vaaiz
par itanaa jaanate hai.n kal vo jaataa thaa ke ham nikale
Khuld : Paradise
be-aabaruu : disgrace
kuuchaa : street
FOR VIDEO OF THESE SONGS CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=T8N-ZXU1wOg
http://www.youtube.com/watch?v=1UGntT1CZXw
No comments:
Post a Comment