PANKAJ UDHAS: LOVING GHAZALS & RUBAYEE
1. TUM SAREA MULAQAUAT SE DARTHE KYON HO
tum sarea mulakat se darte kyon ho - (2)
ishk karte ho toh halat se darte kyon ho - (2)
tum saream mulakat se darte kyon ho
yeh bataon toh jara meraa khayal aate hee - (2)
din se ghabarate ho tum rat se darte kyon ho - (2)
ishk karte ho toh halat se darte kyon ho
tum saream mulakat se darte kyon ho
tum toh kehate ho tumhe mujhase mohabbat hee nahee - (2)
phir judayee ke khayalat se darte kyon ho - (2)
ishk karte ho toh halat se darte kyon ho
tum saream mulakat se darte kyon ho
mujhase khud aa ke lipat jana sanmbhalkar hatna - (2)
tej hotee hui barsat se darte kyon ho - (2)
ishk karte ho toh halat se darte kyon ho
tum saream mulakat se darte kyon ho - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=vFScgf-1TSc
2 NAYI NAYI ANKHEN HON TOH
nayi nayi aankhen hon toh har manjar achha lagata hai - (2)
(kuchh din shehar me ghume -2) lekin abb ghar achha lagata hai
nayi nayi aankhen hon toh har manjar achha lagata hai
milne julne walon me toh sabhi apane jaise hain - (2)
jisase abb tak mile nahee woh aksar achha lagata hai - (2)
kuchh din shehar me ghumein lekin abb ghar achha lagata hai
nayi nayi aankhen hon toh har manjar achha lagata hai
mere aangan me aaye ya tere sar par chot kage - (3)
sannaton me bolanewala pathhar achha lagata hai - (2)
kuchh din shehar me ghumein lekin abb ghar achha lagata hai
nayi nayi aankhen hon toh har manjar achha lagata hai
hamne bhee sokar dekha hai naye purane sheharon me - (2)
jaisa bhee hai apane ghar kaa bistar achha lagata hai - (2)
(kuchh din shehar me ghume -2) lekin abb ghar achha lagata hai
nayi nayi aankhen hon toh har manjar achha lagata hai
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
.ALT;
http://www.youtube.com/watch?v=KVl8fdNEoW0
3.. AA JAYE KISI DIN TU AISA BHUI NAHI LAGTA
aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta - 2
lekin wo tera vaada jhuta bhi nahi lagta
aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta
milta hai sukoon dil ko uss yaar ke kuche mein - 2
har roz magar jaana achha bhi nahi lagta - 2
lekin wo tera vaada jhuta bhi nahi lagta
aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta
dekha hai tujhe jabase bechain bahot hai dil - 2
kehane ko koi tuzhase rishta bhi nahi lagta - 2
lekin wo tera waada jhuta bhi nahi lagta
aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta
baare mein katil usake sochen bhi to kya sochen - 2
wo gair nahi lekin apna bhi nahi lagta - 2
lekin wo tera waada jhuta bhi nahi lagta
aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta - 2
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=B3hYlvBJfy8
http://www.youtube.com/watch?v=QI5JgEO5ZUE
4. JIS DIN SE JUDA WOH HAMASE HUYE
woh meraa rounake mehfil kahan hai
meree bijalee meraa hasil kahan hai
mukam usaka hai dil kee khalbaton me
khuda jane mukame dil kahan hai
jis din se juda woh hamase huye
iss dil ne dhadakna chhod diya - (2)
hai chand kaa mooh utara utara
taron ne chamakna chhod diya - (2)
woh pas hamare rehte the
berut bhee bahar aa jati thee - (2)
abb lakh bahare aaye toh kya - (2)
phulo ne mehakana chhod diya - (2)
hai chand kaa muh utara utara
taaro ne chamakana chhod diya
iss dil ne dhadakna chhod diya
(hamrah koee sathee bhee nahee
abb yad koee bakee bhee nahee) - (2)
abb phul khile jakhamo ke kya - (2)
aankho ne barasana chhod diya - (2)
hai chand kaa mooh utara utara
taron ne chamakana chhod diya
iss dil ne dhadakna chhod diya
(humane yeh duva jab thee mangee
takdir badal de yeh malik) - (2)
aawaj aai kee abb hamane - (2)
takdir badalana chhod diya - (2)
hai chand kaa mooh utara utara
taron ne chamakana chhod diya - (2)
(jis din se juda woh hamase huye
iss dil ne dhadakana chhod diya -2) - 2
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=xIbNuwErMoM
5. HAM JAISE TANAHA LOGON KAA
jo puchhata hai koee surkh kyon hai aaj aankhen
toh aankh malke mai kehta hu rat so naa saka
hajar chahu magar yeh naa keh sakunga kabhee
ke rat rone kee khwahish thee magar ro naa saka
ham jaise tanaha logon kaa abb rona kya muskana kya - (2)
jab chahanewala koee nahee -2 phir jina kya mar jana kya
ham jaise tanaha logon kaa abb rona kya muskana kya
sau rang me jisko socha tha, sau rup me jisko chaha tha - (2)
sau rup me jisko chaha tha
woh jane ghajal toh ruth gaee abb usaka hal sunana kya - (2)
jab chahanewala koee nahee -2 phir jina kya mar jana kya
ham jaise tanaha logon kaa abb rona kya muskana kya
aawaj kisiko de lekin ek nam tumhara honton par - (2)
ek nam tumhara honton par
har shakal se ubharo tum hee tum yu khud ko magar behalana kya - (2)
jab chahanewala koee nahee -2 phir jina kya marr jana kya
ham jaise tanaha logon kaa abb rona kya muskana kya
raaton kaa safar hai din ke liye aur dil me tamanna raton kee - (2)
aur dil me tamanna raton kee
jab paaon me raste kho jaye phir rukna kya ghar jana kya - (2)
(jab chahanewala koee nahee -2 phir jina kya mar jana kya
ham jaise tanaha logon kaa abb rona kya muskana kya) - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=cQoUTsO1iw4
6. KABHEE AANSU KABHEE KHUSHBU KABHEE NAGMA
(kabhee aansu kabhee khushbu kabhee nagama bankar -2
hamase har sham milee hai teraa chehra bankar) - (2)
kabhee aansu kabhee khushbu kabhee nagama bankar
chand nikala hai teree aankh ke aanso kee tarah - (2)
phul mehake hai teree julf kaa saya banakar - (2)
hamase har sham milee hai teraa chehara bankar
kabhee aanso kabhee khushbu kabhee nagama bankar
dil ke kagaj pe tu utarata hai tu sheron kee tarah - (2)
mere honton pe chamakata hai tu nagama banakar - (2)
hamase har sham milee hai teraa chehara bankar
kabhee aanso kabhee khushbu kabhee nagama bankar
meraa kya hal hai yeh aa ke kabhee dekh toh le - (2)
jee raha hu teraa bhula huva wada banakar - (2)
hamase har sham milee hai teraa chehara bankar
kabhee aanso kabhee khushbu kabhee nagama bankar - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=knIeienOCVc
7. KAISE LIKHOGE MOHABBAT KI KITAB
kaise likhoge mohabbat kee kitab - (2)
tum toh karane lage pal pal kaa hisab
kaise likhoge mohabbat kee kitab
kis jagah pyas bujane aaye - (2)
ke jahan jehar naa panee naa sharab - (2)
tum toh karane lage pal pal kaa hisab
kaise likhoge mohabbat kee kitab
khushk patton kaa mukkadar lekar - (2)
aag ke shehar me rehata hu janab - (2)
tum toh karane lage pal pal kaa hisab
kaise likhoge mohabbat kee kitab
jindagee tujhako samajate kaise - (2)
tere chehare pe hai sadiyon kee nakab - (2)
tum toh karane lage pal pal kaa hisab
kaise likhoge mohabbat kee kitab - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=DMg1Rfg5xII
8. KABHEE DOSTEE JAHENGE JABHI BERUKHEE KAHENGE
kabhee dostee kahenge kabhee berukhee kahenge - (2)
jo milega koee tujhasa use jindagee kahenge
kabhee dostee kahenge kabhee berukhee kahenge
teraa dekhana hai jadu teree guftgu hai khushbu - (2)
teree guftgu hai khushbu
jo teree sada me chamake use roshanee kahenge - (2)
jo milega koee tujhasa use jindagee kahenge
kabhee dostee kahenge kabhee berukhee kahenge
naye rasaton pe chalana hai safar kee shart warana - (3)
hai safar kee shart warana
tere sath chalanewale tujhe ajanabee kahenge - (2)
jo milega koee tujhasa use jindagee kahenge
kabhee dostee kahenge kabhee berukhee kahenge
hai udas sham rashid nahee aaj koee kasid - (2)
nahee aaj koee kasid
jo payam usaka laye use chandani kahenge - (2)
(jo milega koee tujhasa use jindagee kahenge
kabhee dostee kahenge kabhee berukhee kahenge) - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=iSKvjv0wnFY
9. AASMAN KALEE KALEE GHATA DE GAYA
aasaman kalee kalee ghata de gaya - (2)
aap aaye toh mausam maja de gaya
aasaman kalee kalee ghata de gaya
ishk tujh jaisa dushman sabhi ko mile - (3)
markar jindagee kaa pata de gaya - (2)
aap aaye toh mausam maja de gaya
aasaman kalee kalee ghata de gaya
chand meraa naa khushbu naa badal mere - (3)
aapko kaun meraa pata de gaya - (2)
aap aaye toh mausam maja de gaya
aasaman kalee kalee ghata de gaya
meree aankho me hai usaka chehara jafar - (3)
mere hathon me jo aaina de gaya - (2)
aap aaye toh mausam maja de gaya
aasaman kalee kalee ghata de gaya - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
ALT:
http://www.youtube.com/watch?v=-Z2uWfpsOgw
10. ZINDAGI SE ULJAH KE SAARAA DIN
zindagi se ulajh ke saaraa din maikasho ye bhi kaam kar lenaa
yaani apane li_e bhi thodaa saa shaam kaa itazaam kar lenaa
zindagi se ulajh ke
bas yahi to hai ek daravaazaa bad hote jise nahi dekhaa
ku-e-jaanaa me jab jagah naa mile maikade me kayaam kar lenaa
yaani apane li_e
ai havaa aur kyaa sadesaa du jab guzaranaa sharaabakhaane se
meri jaanib se ek pal ruk kar maikasho ko salaam kar lenaa
yaani apane li_e
sach to ye hai ke ishq ki yaaro ko_i tahazib hi nahi hoti
kisi basti me kaat lenaa din kisi kuche me shaam kar lenaa
yaani apane li_e
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=wQi0sFjM9H4
11. KHOTE NA HON JO HOSH.. CHALO PI LE KE YAARh
khote na ho jo hosh unhe ghar bulaa ke pi
yaa phir buto ko saamane, apane bithaa ke pi
behad naa pi, naa bol bahut, josh me na aa
ruk ruk ke pi, sukun se pi, sar jhukaa ke pi
daulat hai faqat chaar dino ki pi le
izzat hai faqat chaar dino ki pi le
hai waqt shab-o-roz tabaahi ki taraf
mohalat hai faqat chaar dino ki pi le
chalo pi le ke yaar aaye na aaye
ye mausam baar baar, aaye na aaye
gulaabo ki tarah tum taazaa rahanaa
zamaane me bahaar aaye na aaye
ye sochaa hai ki usako bhul jaaye
ab is dil ko qaraar aaye na aaye
"zamir" is zindagi se kyu khafaa ho
ise phir tumape pyaar aaye na aaye
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
ALT:
http://www.youtube.com/watch?v=CyhqQXcFuDw&list=PL5pDJkLkea6-s2amAeX20SsOoTycphY6K
12. BAHARE AGAR TUMSE DAAMAN BACHAAYE
vabastha kabhee jamo subu se naa huwa
kuchh phaayada koyal kee bhee ku se naa huwa
aa kabrr pe meree ke meraa jimma hai
too mast agar mittee kee boo se naa huwa
paigaame ajal laayee thee laayee hogee
tab gham kee ghata chhaayee thee chhaayee hogee
yeh jaam yeh khushabu yeh paharain yeh sharab
glushan me khija aayee thee aayee hogee
(bahaare agar tumse daaman bachaaye
mere jakhm se taajagee maang lena) - (2)
agar tumse suraj kabhee ruth jaaye
mere jaam se roshanee maang lena
bahaare agar tumse daaman bachaaye
mere jakhm se taajagee maang lena
(gaya aa ke aangan se khushbu kaa mausam
ke mausam ko ek roj jaana tha yun bhee) - (2)
abhee daaliyo par bahut phul honge
kisee phul se dilkashee maang lena
bahaare agar tumse daaman bachaaye
mere jakhm se taajagee maang lena
(kabhee bojh gham kaa jo bad jaaye dil par toh
ro lena tanhaayiyo se lipat kar) - (2)
labo par kabhee aaye hafre shikaayat toh
divaar se khaamoshee maang lena
agar tumse suraj kabhee ruth jaaye
mere jaam se roshanee maang lena
bahaare agar tumse daaman bachaaye
mere jakhm se taajagee maang lena
(yeh lambee ghanee raat kaise kategee
sahaara toh ek chaahiye jindagee ko) - (2)
agar shamma tumse kare bewafayee
kisee saye se dostee mang lena
agar tumse suraj kabhee ruth jaaye
mere jaam se roshanee mang lena
(bahaare agar tumse daaman bachaaye
mere jakhm se taajagee maang lena) - (2)
CLICK/ COPY PASTE THE LINKS BELOW FOR VIDEO ON YOUR BROWSER
http://www.youtube.com/watch?v=Y6kqdb5N_dQ
No comments:
Post a Comment