Native name استاد غلام علی
Years active 1960–present
Native name | استاد غلام علی |
---|---|
Born | 5 December 1940 Kaleki, Sialkot District Pakistan |
Genres | ghazal |
Occupation(s) | singer |
Instruments | harmonium |
Years active | 1960–present |
Ustad Ghulam Ali (born 5 December 1940) is a Pakistani ghazal singer of the Patiala gharana . He is not to be confused with the Indian singer Bade Ghulam Ali Khan (of whom he was a disciple) or Chhote Ghulam Ali, who is another Pakistani singer in the Qual Bachon Gharana.
Ghulam Ali is considered as one of the best ghazal singers of his era. His style and variations in singing Ghazals has been noted as unique, as he blended Hindustani classical music with ghazals, unlike any other Ghazal singer. Highly popular in Pakistan, India, Nepal, Bangladesh, as well as amongst South Asian diaspora in the USA, the UK and the Middle Eastern Countries. Many of his hit ghazals have been used in Bollywood movies. His famous ghazals are Chupke Chupke Raat Din, Kal Chaudhvin Ki Raat Thi, Hungama Hai Kyon Barpa, Kiya Hai Pyar Jisé, May Nazar Sé Pee Rahahoon, Mastana Peeyé, Yé dil yé pagal dil, Apni Dhoon Mein, His recent album "Hasratein" was nominated in the Best Ghazal Album category at Gima 2014.
1. KABHI KITABON MEIN PHOOL REKHA
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Humein bhi hai yaad aaj tak wo,
Najar se harfe salaam likhna…
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Wo chaand chehre wo beheki baatein,
Sulagte din the mehekti raatein…
Wo chaand chehre wo beheki baatein,
Sulagte din the mehekti raatein…
Wo chaand chehre wo beheki baatein,
Sulagte din the mehekti raatein…
Wo chote chote se kaagazon par,
Mohobaton ke payaam likhna…
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
Kabhi darakhton pe naam likhna….
Gulaab chehron se dil lagana,
Wo chup ke chup ke nazar milana….
Gulaab chehron se dil lagana,
Wo chup ke chup ke nazar milana….
Gulaab chehron se dil lagana,
Wo chup ke chup ke nazar milana….
Wo aarzuon ke khaab bunna,
Wo kissa-e-na tamaam likhna….
Wo aarzuon ke khaab bunna,
Wo kissa-e-na tamaam likhna….
Gayi ruton mein hasan humara,
Bus ek hi to ye masgalaa tha….
Gayi ruton mein hasan humara,
Bus ek hi to ye masgalaa tha….
Gayi ruton mein hasan humara,
Bus ek hi to ye masgalaa tha….
Kisi ke chehre ko subho kehna,
https://www.youtube.com/watch?v=fOT-Boaqsog
2. YEH DIL PAAGAL DIL MERA
ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi
kal shab mujhe be-shakl ki aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi
yeh dard ki tanhhaiyan yeh dasht ka veran safar
hum log to uqtaa gaye apni suna aawargi
loagon bhala us shehar kaise jeyain hum
jahan ho jurm tanha sochna lekin saza awargi
ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi rait par main ne likha aawargi
kal ratt tanha chand ko dekha tha main ne khawab main
mohsin mujhay rass aye gi shayad sada aawargi
Kisi ki julfon ko shaam likhna…
Kisi ke chehre ko subho kehna,
Kisi ki julfon ko shaam likhna…
Humein bhi hai yaad aaj tak wo,
Najar se harfe salaam likhna…
Kabhi kitaabon mein phool rakhna,
3. HANGAMA HAI KYUN
prelude
ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahi
varanaa mai kuchh bhi hun ehasaan-faraamosh nahi
live in india version starts from here
mai teri mast-nigaahi kaa bharam rakh lungaa
hosh aayaa bhi to kah dungaa mujhe hosh nahi
hagaamaa hai kyun barapaa thodi si jo pi li hai
daakaa to nahi daalaa chori to nahi ki hai
us may se nahi matalab dil jisase ho begaanaa
makasud hai us may se dil hi me jo khichati hai
suraj me lage dhabbaa fitarat ke karishme hai
but hamako kahe khaafir allaah ki marzi hai
naatajurbaakaari se vaa_iz ki ye baate hai
is rag ko kyaa jaane puchho jo kabhi pi hai
waan dil me ki sadame do, yaan ji me ki sab sah lo
unakaa bhi ajab dil hai, meraa bhi ajab ji hai
har zarraa chamakataa hai anawaar-e-ilaahi se
har saans ye kahati hai ham hai to khudaa bhi hai
the following was not in the versions i heard
e shauq wahi may pi ai hosh zaraa so jaa
mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazali hai
https://www.youtube.com/watch?v=5xfmDeuJchk
4. SHAM KE WAKT JAM YAD AAYA
sham ke wakt jam yad aaya
kitana dilchasp kam yad aaya
jab bhee dekha koi hasin chehara
mujhako teraa salam yad aaya
sunake kisse kuda kee ajmat ke
aadami ka makam yad aaya
bansaree kee nava ko tej karo
aaj radha ko shyam yad aaya
sahane masjid me bhee hame mohasin
maiakade ka kayam yad aaya
https://www.youtube.com/watch?v=TJPQEd1LfJg
5.. MAHFIL ME BAAR BAAR KISEE PAR NAJAR GAYEE
(mahafil me bar bar kisee par najar gayee
hamne bachayee lakh magar phir udhar gayee
unakee najar me koyee jadu jurur hai
jis par padee usike jigar tak utar gayee
uss bewafa kee aankh se aansu chhalak pade
hasarat bharee nigah bada kam kar gayee
unake jamale ruk pe unhee ka jamal tha
woh chal diye toh raunake shamo sahar gayee
unako kabar karo ke hai bismil karibe marg
woh aayenge jurur jo unn tak kabar gayee
https://www.youtube.com/watch?v=0-KftRv1-fU
6. DILON KO TODANE WAALO TUMHEN KISI SE KYA MILO
dilo ko todane waalo tumhe kisi se kyaa
milo to aankh churaa lo tumhe kisi se kyaa
mujhe khud apani nazar me banaa ke begaanaa
jahaan ko apanaa banaa lo tumhe kisi se kyaa
nazar bachaa ke guzar jaa_o meri turbat se
kisi pe khaak na daalo tumhe kisi se kyaa
hamaari larazish-e-paa kaa khayaal kyun hai tumhe
tum apani chaal sambhaalo tumhe kisi se kyaa
https://www.youtube.com/watch?v=yNhDZJnPnXk
7. CHUPKE CHUPKE RAAT DIN
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
khench le na woh mera parde ka kona daffatan
khench le na woh mera parde ka kona daffatan
aur dupatte se tera woh munh chhupana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
dopehar kee dhup me mere bulane ke liye
dopehar kee dhup me mere bulane ke liye
woh tera kothe pe nange panv ana yad hai
hamko abb tak ashikui ka woh jamana yad hai
chupke chupke rat din ansu bahana yad hai
https://www.youtube.com/watch?v=38_AJgdtXm4
8. HAMNE HASARATO KE DAG AANSUO SE DHO LIYE
hamne hasrato ke dag aansuo se dho liye
aapkee khushee hujur boliye naa boliye
kya hasin kar the jo meree nigah ne
sadagee se baraha ruh me chubho liye
mausam-e-bahar hai ambarin khumar hai
kiska intajar hai kesuon ko kholiye
jindagee kaa rasta katana toh tha adam
jag uthe toh chal diye thak gaye toh so liye
https://www.youtube.com/watch?v=4XBph1Sj6ZY
9. : EK TO CHEHARAA AISAA HO
ek to cheharaa aisaa ho
mere liye jo sajataa ho
shaam dhale ek darawaazaa
raah meri bhi takataa ho
meraa dukh wo samajhegaa
meri tarah jo tanahaa ho
ek suhaanaa mustakabil
khaab saa jaise dekhaa ho
ab 'shahazaad' wo dipak hai
jo tufaan me jalataa ho
https://www.youtube.com/watch?v=v-IDa6ZoR4k
10 APANI TAZVEER KOAANKHON SE LAGAATA KYA HAI
apani tasvir ko aankhon se lagaata kya hai
ik nazar meri taraf bhi tera jaata kya hai
meri rusvaayi mein wo bhi hain baraabar ke shariq
mere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai
paas rah kar bhi na pchchaan saka tu mujhko
duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai
umr bhar apane girebaan se ulajhane waale
tu mujhe mere hi saaye se daraata kya hai
main tera kuchh bhi nahin huun magar itana to bata
dekh kar mujhako tere zahan mein aata kya hai
safar-e-shauq mein kyuun kaanpate hain paanv tere
duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai
mar gaye pyaas ke maare to utha abr-e-karam
bujh gayi bazm to ab shamma jalaata kya hai
https://www.youtube.com/watch?v=WbxvrFGryOw
No comments:
Post a Comment