yeh dil yeh pagal dil meraa kyon bujh gaya aawargee
iss dasht me ik shahar tha woh kya hua aawargee
kal shab mujhe beshakl see aawaj ne chaunka diya
maine kaha too kaun hai usne kaha aawargee
ik ajnabee jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara kee bhigee ret par maine likha aawargee
https://www.youtube.com/watch?v=fp29Ll1kQ1A
https://www.youtube.com/watch?v=qH5q-v8tvF4
FILM: MAATI MAANGE KHOON 1984
LYRICS: ANAND BAKSHI
MUSIC: R.D.BURMAN
SINGER:: GHULAAM ALI
****
2. GHULAM ALI & ASHA BHOSLE
phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye tum yaad aaye phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye tum yaad aaye phir guunjein bolin ghaas ke hare samundar mein phir guunjein bolin ghaas ke hare samundar mein rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye tum yaad aaye phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye tum yaad aaye din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya rahakhoya raha jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye tum yaad aaye phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
https://www.youtube.com/watch?v=MQEPF5SRz_w
ALBUM: MERAJ-E- GHAZAL 1989
LYRICS: NAZIR KAASMI
mUSIC: GHULAM ALI
No comments:
Post a Comment